Smartphone Ki Battery Fast Charge Karne ke Best Tips
Hey Friends,
Android
smartphone user ke liye aaj mai lekar aaya hoo Fast Charge karne ke best tareeke
jinko follow kar Aap apna Android smartphone jald hi charge kar sakte hai.
Aksar Aisa hota hai ki hum kahi bahar ja rahe hote hai aur humara smartphone down hota hai aur Hume apne smartphone ko fast charge karne ki jarurat padhti hai tab hume lagta
hai ki humara phone jaldi se charge ho jaye. Issi Problem ko dekhte huye Aaj mai aapke liye Smartphone ko charge karne ke tareeke bataunga jisse aap apne Android
phone ko jald se jald charge kar sakte ho.
Normaly
smartphone 2-3 hour (Ghante) leta hai charge hone me lekin jab aapko jaldi ho
apne phone ko charge karne ki to ye tareeke follow kare aur smartphone ko fast
charge kare.
Android
Smartphone ko Fast Charge kare
Aaj mai aapko Smartphone ki Battery Fast Charge karne ke bahut hi powerful tareeke batane ja raha hoo wo bhi Bina kisi
Apps ko use kare.
1 . Airplane (Flight) Mode
Smartphone
ko charge karte time Airplane (Flight) Mode ko Activate karde isse Smartphone ke sabhi network
stop ho jayenge aur ye sabse behtreen tareeka hai phone ko fast charge karne ka.
2 .
Smartphone ko Off karke charge kare.
Agar aapko
emergency me apne phone ko fast charge Karne ki jarurat padhti hai to aap apne
phone ko off karke charge kar sakte hai. off karke charge karne se smartphone
ki battery bahut fast charge hoti kyonki poora system off hota hai.
3 . Bluetooth,
Wi-fi, Data connection aur GPS Off kare
Charging
karte time mobile ke sare connection Disabale karde jaise wi-fi, Bluetooth, GPS,
Mobile Data Connection, iske Disabke karne par battery fast charge hone lagti
hai. to inko off karke charge karna better hota
hai.
4 . Charging
ke Time Smartphone Kabhi Use na kare
Smartphone
ko charge karte time kabhi bhi use na kare. Charging ke time phone ko use Karne
se battery charge nahi ho pati hai aur phone ko charge karne me zyada time
lagta hai. to meri suggestion yahi hai ki phone ko charging karte time kabhi
bhi use na kare.
5 . Original
Charger aur Data Cable Use kare
Jee ha
humesha apne smartphone ko charge karne ke liye original hi charger Adapter or
Data cable ka hi use kare. Local charger or Data cable se apne phone ko kabhi
bhi charge na kare. Isse bahut time me phone charge ho pata hai aur Phone ki Battery
bhi kharab hone chances rehte hai.
6 . Clean
Master (Boost & AppLock) use kare
Clean master
app duniya ka most trusted app hai. Clean master Android optimizer, Speed
Booster, Battery Saver aur Free Anti-virus App hai. Isko apne
phone me jarur Install kare.
Install karne ke liye yaha se Download kare Clean Master Boost & App Lock.
7 . Fast
Charging App Use Kare
Fast
Charging me ultimate tools hain ye phone ki Battery ko Boost kar charging speed
ko 20-40 % tak badha deta hai. ye App charger connect karte hi Automatic Active
ho jata hai charging speed ko boost karta hai.
isko yaha se
Install kar sakte hai Fast Charging Android App.
Android Smartphone ki Battery Fast Charge karne ke Tips aapko kaise lage agar aapko ye tips pasand aaye ho to share jarur kare aur apne dosto ko bhi ye tips share kare.
Aur humare Social Follow Button par Click karke Follow jarur kare.
Also Read..........................................................................................................................................................
Labels
Tricks
Post A Comment
No comments :
Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.