5 Ways: Android Smartphone ki Speed kaise Badhaye



Hello Dosto,
Aaj mai Phir hazir hoo Apni ek nayi Post ke sath Aaj mai aapke liye lekar aaya 5 aise ways jinko use karke aap apne apne Andorid Device ki speed me izafa kar sakte hai.
Agar aapka android smartphone slow chalta hai to chinta karne ki jarurat nahi hai.
Mai har baar ki taraha aaj bhi aapke liye bahut usefull tareeke aapke liye lekar aaya hoo.
5 ways: to increase your Android Smartphone speed. Or how to speed up Android smartphone.
5 ways smartphone ki speed kaise badhaye ansariworld.com
How to speed up your Android smartphone www.ansariworld.com

5 Easy Ways: Android Smartphone ki speed Badhane ke or How to speed up your Android Smartphone



Agar aapka Android smartphone or Tablet bahut slow speed (chal) raha hai to aap asani se in tareeko ka istemal kar ke apne smartphoen ya tablet ki speed ko increase kar sakte ho aur apne smartphone ki speed badhakar maza le sakte ho. To aaye jaante hai wo 6 tareeke jinke jariye aap apne smartphone or tablet ki speed badha (increase) kar sakte hai. How speed up your Android smartphone : 5 Easy ways.

  1. Smartphone me kaise le Screenshot

1 . Unused (Faltu) Apps Delete kare.

Jee ha jaisa ki aapne padha ki unused app ko delete kare. To aapko apne smartphone or tablet me se jin apps ko aap use nahi karte ho unko turant delete karde. Aur faltu ke apps ko apne phone me install na kiya kare isse aapke Android phone ki speed slow ho jati hai. uninsatall karne ke baad apne phone ki homescreen se uss app ka icon bhi Remove karde.

2 . Remove Widgets on Smartphone Homescreen

Andorid smartphone me widget bahut badiya feature hai  lekin isko homescreen par zyada use karne se ye phone ki speed ko slow kar deta hai. to mere hisab se aap apne Android smartphone or Tablet ki homescreen par zyada faltu ke widgets icon ko use na kare.

3 . Clear App Cache

Apne smartphone se app cahe clear karte rahe ye bhi ek tareeka ho sakta hai aapke smartphone ki speed slow hone ka to isko samay-samay par clear karte rahe. App cache ko clear karne ka tareeka.
1.       Setting>> App Manager >> Cache Data
2.       Aur fir Cache ko clear karde.

4 . Restart Smartphone or Tablet

Cache clear karn eke baad apne phone restart karle. Restart karne se Running app band ho jate hai aur Restart karne ke baad jab device on hota hai to woe k dum Referesh ho jata hai. jisse aapke device ko performance me izafa hota hai.

5 . Factory Reset


Agar aapka phone upar bataye gaye traeeko ko use karne ke baad bhi slow kam kar raha hai to aapko apna phone Reset karne ki jarurat hai. apne phone ko restore karne se pehle Backup lele uske baad Reset kare.
Backup aur Reset karne ke liye ye step follow kare.
Sabse pehle Setting me jaye.
Fir waha aapko Backup and Reset ka option dikhenga.
Fir apna phone Reset karde. Reset karne ke baad apke smartphone ki speed acchi ho jayegi.

Kaisi Lagi Aapko ye Post Agar aapko iss post se aapko help mili ho to Friends ko jarur share aur humare Social Follow Button par Follow jarur kare. Aur apni Raay Comment me share kare ya aapko koi Problem aati ho to hume bataye hum aapki problem solve karne ki poori koshish karenge.



Post A Comment
  • Blogger Comment using Blogger
  • Facebook Comment using Facebook
  • Disqus Comment using Disqus

No comments :

Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.