Smartphone ki Battery Backup Badhane ke 10 Tips & Trick




apko ye lagta hai ki apke smartphone ki battery kam backup de rahi hai. to in tips ko apna kar aap apne phone ki battery backup ko badha sakte hain. Samartphone ke backup ko in 10 tips ko apna kar 10-15 % tak aur badhayi ja sakti hai. 10 Tips ko aaj hi apnaye Aur fark dekhe.

smartphone battery increase tips & trick ansariworld.com

Smartphone ki Battery Backup Badhane ke 10 Tips or How to increase your smartphone Battery Backup


1 . Vibration
  Apne smartphone ko jyadatar vibration mode me na rakhe isse battery par bahut fark padta hai.

2 . Brightness
Brghtness jitna ho sake kam rakhe aur mere hisab se rat me to bilkul hi low rakhe to jyada behtar hoga.
Isse aankho par bhi fark nahi padega. Aur battery ka backup bhi badega.
Brightness ko ap Aut mode par hi rakhe isse apko koi problem nahi hogi.

3 . Wallpaper
Smartphone ki screen par plain photo hi lagaye. Aksar aapne dekha hoga ki log GIF ya Screen saver ko jayada pasand karte hain. Aisa karne se battery par bahut farka padta hai.

4 . Notifiaction
Notifiaction ko band hi rakhe kayi apps aise hote jo bar-bar Notification dete rahte hai isse bhi battery par fark padta hai.

5 . Phone ko Dhoop se Bachaye
Ji ha apne phone ko dhoop ya heating bali jagha me kabhi na rakhe isse battery ki capacity par asar padta hai.

6 . Apps
Use na hone bale apps ko uninstall karde . jo apps ap use nahi karte hain unko phone me kabhi na rakhe wo bar-bar notification bhi dete rahte hain.

7 . Wi-Fi
Wi-fi ko use na karne par usko off karde.
Kabhi kabhi aisa hota hai ki ap apne ghar ya office se kahi bhar jaate hai aur apka wi-fi on rahta hai to aise me iska ghaya rakhein.

8 . Touch sound
Touch sound ko hamesha band rakhe. Apne dekha hoga ki touch karne par jo tip tip sound ki awaz nikalti mere hisab se iska on rahna koi jyada fayde ka kam nahi to isko humesha band rakhe.

9 . GPS
GPS aur other option use na hone par inko humesha band hi rakhe.

10 . Internet Data


Data use na hone par isko band karde aksar dekha gaya hai ki log internet use na karne par bhi apna Data on rakhte hain isse battery par sabse jyada fark padta hai.

I hop ki apko ye tips pasand aaye honge. aur apko in tips se madad bhi milegi agar apko ye post pasand aayi ho to please apne dosto bhi share kare.

Aur humari nayi post ke liye Social follow button par click karke Suscribe jarur kare.

Also Read ...........................................................



                        <> : Google Ne kiye Apni Gmail Service Mein Kuchh Badlav !


Post A Comment
  • Blogger Comment using Blogger
  • Facebook Comment using Facebook
  • Disqus Comment using Disqus

No comments :

Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.