Private Browsing Kya Hai, Private Browsing Ka Use Kaise kare-How to Use Private Browsing in Hindi
Hey Reader,
Aaj Hum Baat Karne wale hai ki Private Browsing Kya hai, Aur
Private Browsing ka Use Kaise Kare.
How to Use Private Browsing in Hindi. Dosto Iss Browsing Ko
use Karne se humare Browser par kiya huya Work Secure
Rehta hai Jaise Humare Password, Internet History aur humne kya-kya Search kiya ya kiss
Site ko Open kiya in sab ki Jankari ek dum Secure Rehti hai ye jankari kahi bhi
save nahi hoti hai. humare Normal Browser ke jaise.
Private Browsing Ka Option har
Browser Me Hota hai, Google Chrome, Mozilla Firefox etc.
How to use Private Browsing in Hindi |
Private Browsing Kya Hai ?
Private Browsing Ek Incognito Window hai Jisko Use karne Par Usme Kiya huya Work save nahi hota hai. yaha tak ki Usme History aur Internet Cache jaisi cheeje bhi Incognito Window yani Privet Browser ko use karne se jama nahi hoti hai.
Aur Sabse Badi Khas Bat ye hai ki Isme Bina Log Out Kiye
Automatically Log Out ho jata hai. Jaise ki Agar Aap Iss Window me
Log In Hai Aur ye Window Agar Aap Close Karde to Aapko Log
Out Karne ki Koi Jarurat nahi hai. Iss Window har Bar Log In Karne Ki Jarurat
Padhti hai. To Dosto Mujhe Ummd hai Ki Aapko Samajh Aa Gaya hoga ki Private
Prowsing Kya hai.
Private Browsing Ke Fayde
1 . Incognito Window ko use Karne se Humare Account Safe Rehte hai.
2 . Jab Kabhi Bhi Aap Café par Internet use karne jaye to Private Browsing yani
Incognito Window ka use kare.
3 . Kisi Doosre ke Pc ya Mobile Ka Use kare to Bhi Iss Window ka hi Use kare.
4 . Keylogger Bhi Iss Window ke Password ya Account Ko Nahi Samajh pata hai Aur humare
Acconts Aur Password Ek Dum Safe Rehte hai.
Private Prowsing Ka Use Kaise kare
New Incognito Window yani Private Browsing ko Use Karna
Bahut hi Easy hai Bus Apne Browser ke Option Ya Menu Me Jaaye Aur Incognito
Window ko Open kare Aur Maza Le ek Dum Safe Browsing ka Kisi Browser Par.
Dosto Chaliye Yaha Mai kuch Browser ke Incognito Window
Kaise Open Kare Vistar se Aur Images se Aap ko Batata Hoo.
1 . Google Chrome Browser
Chrome Browser
Me New Incognito Window ko Use Karne ke liye Ctrl+Shift+N Ek Saath Press Karne
se Private
Borwsing Window Yani Incognito Window Oepn ho Jayegi.
Ya Apne Chrome Browser ke Right Side me Sabse Upar
Bane 3 Lining
Patti Par Click Kare Aur Usme Incognito Window par Click kare. Ya Images Me
Dekhe.
2 . Mozilla Firefox Browser
Mozilla Browser
Me Private Browsing Window ka Use karne ke liye Ctrl+Shit+P Shortcut key ka Use
kare ya Phir
Mozilla Browser
ko Open Kare Aur Tool Par Click Kare Aur yaha Start Private Browsing Dekhe Aur
iss Click kare.
3 . Opera Browser
Opera Mini ya
Opera Browser Me Private Browsing ka Use Karne ke liye Same Chrome Browser ki
Jaise Shortcut Key
ka use kare
Ctrl+Shift+N Ko Ek Saath Press kare ya Opera Browser Me Left Side me Opera Icon
ke Menu par Click kare
Tab and Window
Par Click Kare Phir ek Uske Just Barabar se ek Window open Hogi usme se New
Private Window
Par Clcik kare ya
Images Me Dekhe.
Smartphone me Use Kaise kare
Smartphone Me Bhi Aise Hi Same Private Browsing Window Ko
Aasani se Use kar sakte hai. Agar Use Karne me Koi Problem Aaye Comment me
bataye hume Aapki help karne me Khushi hogi.
3
Dosto Kaisi Lagi Aapko humar ye Post Private Browsing Kya hai Aur Private Browsing ko use kaise kare
How to use Private Browsing in Hindi.
Agar Aapko ye Post Achhi Lagi Ho to Share jarur kare Aur Apne Dosto Ko Bhi Bataye.
Aur Comment me Apne Vichar Prastut Kare.
Note : ----------------------------------------------------
Agar Aapke Pass Humari Wensite ye iss Post se Related Koi
Jankari Hai Humari Email ID: moaziz90@yahoo.com
Par hume Apni Jankari ke Saath Apna Name Aur Phoro Mail Kare Hum Aapki Jankari
Ko Apni Site Par Aapke Name Aur Photo ke Saath Publish Karenge.
Thanks For Vist Ansariworld
Also Read: ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~ ~~~~~
Labels
Internet
Post A Comment
No comments :
Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.