WhatAapp Text Messages Ko Bold,Italic or Cross Font Style Me Kaise Likhkar Send Kare



Hey Reader,
Aaj Mai Phir Aapke liye Lekar Aaya hoo ek New Article aur 1 Nayi Jaankari, to Aaj mai Aapke liye Aya Hoo ki WhatsApp Text Message ko Bold or Italic Me Kaise likhe aur Apne WhatsApp Friends ko send kare.
Jee Haa Dosto Aaj Aapko Whatsapp ke Text Message ko Italic aur Bold text me messges send  karne ka tareeka bataunga.
Dosto Aap to Jaante hi honge ki Aaj ke iss yug me Har Mobile user Android ya Smartphone user to hai HI, Aur Agar uske Pass Smartphone hai to wo WhatsApp Na Chalata ho ye to ho hi nahi sakta, Aaj Har Smartphone user WhatsApp Ka use Kar raha hai Aap bhi Karte honge. To chaliye Badhte hum Aaj Apni iss Nayi jakari ki or Agar Aap Iss jankari ko nahi jaante hai to isko jarur Read kare aur Apne Friends ko Bhi Bataye. Whatsapp Text Messages bold or italic me kaise likhe-How to send Bold,italic or Cross Font Style  text messages in whtsApp.

Whatsapp Text Messages Ko bold italic or cross font style me kaise likhkar send kare ansariworld.com



WhatsApp Me Bold or Italic me Text Massages Kaise Send Kare

Jee Ha Dosto Aaj hum WhatsApp ke Text Ko Bold Aur Italic Me Likhe ka tareeka Batane jar rahe hai
To chliye friends dekhte hai ki Aap Kaise WhatsApp text Message Ko Bold aur Italic Me Likhkar WhatsApp Par Apne Dosto ko Message Send Kar sakte ho.

1 . WhatsApp Text Message Ko Bold Font Style Me Likhkar Kaise Send Kare


Friends WhatsApp Par Bold font style me Text Messages Dost ko Send karne ke liye Kiya kare?
Dosto ko Message LIkhne se Pehle “*” Star Synbol ka use kare Aur Message Poora likhne ke Baad Phir “*” Star Sybol ka use kare aur Message ko Send karde.

Example:  
*Aur Aapka Massage aur phir* Aur Send karde to ** Star ke Beech likha hua Word Bold style me ho jayega.

WhatsApp Messages ko Bold font style me kaise likhe screenshot Ansariworld.com


2. WhatsApp Text Message Ko Italic Font Style Me Kaise Send Kare

Same Bahi Cheej jo Upar Bold style ko Likhne ke liye kiya tha humne bus isme “*” Star ki jagah  “_” Symbol change kare Aur send karde.

Example:
_Symbol aur Aapka Message Aur phir ye symbol_  aur send karde 
Aapka Message in symbol ke beech likhe word ko Italic font me change kardega.
WhatsApp Messages ko Italic font style me kaise likhe screenshot Ansariworld.com


3 . WhatsApp Text Message Ko Cross  Style Me Kaise Likhe Aur Send Kare

Isme Bhi Bahi Step karna hai jo humne Upar Bataye Dono Step me kiya tha jaise
Example:  
~ ye Subol aur Message phir yahi Symbol ~ Aur send kare Aapke likhe huye Saare Word Cross Style me Ho jayenge.

WhatsApp Messages ko cross font style me kaise likhe screenshot Ansariworld.com


To Dosto kaise lagi Aapko Humari Ye Post ki WhatsApp Messages ko Bold,Italic Aur Cross Font Style Me Kaise Likhe

How to send Bold,italic or Cross Font Style  text messages in whtsApp. Agar Aapko ye Post Pasand Aayi ho to Apne Dosto ko Share Jarur Kare. Aur Comment me hum Jarur Bataye.



Note:
Agar Aapke Pass Humari Wensite ye iss Post se Related Koi Jankari Hai Humari Email ID: moaziz90@yahoo.com Par hume Apni Jankari ke Saath Apna Name Aur Phoro Mail Kare Hum Aapki Jankari Ko Apni Site Par Aapke Name Aur Photo ke Saath Publish Karenge.

Thanks For Vist Ansariworld

Also Read..............................................................................................................................
Post A Comment
  • Blogger Comment using Blogger
  • Facebook Comment using Facebook
  • Disqus Comment using Disqus

No comments :

Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.