Internet Data Kharch hone se kaise Bachaye - How to Save Your Internet Data in Hindi



Hello Dosto,
Aaj Hum Aapke liye Laye Ek aisi Tips Jo Aapke Bahut hi Kam ki Sabit ho Sakti hai. Aaj hum laye Internet Data ko Save kaise kare-How to Save your Internet Data.
Kya apke smartphone me bhi time se pehle Data khatm ho jata hai. aur aap sonchte hai ke mera Data itni jaldi kaise khatm ho gaya.
Phone me jyada Data kharch hone ke kayi karan ho sakte hai.
Aur isi ko dekhte huye mai aap logo ke liye ye post lekar aaya hoo.
To jaante hai ki aapka Internet Data Faltu ya time se pehle kaise Khatm ho jata.

Also Read: Facebook Comment Section me video upload kaise kare

How-to-save-your-internet-data ansariworld.com


Internet Data Faltu Kharch hone se kaise Bachaye.
How to Save your Data


1 . 2G aur 3G ka use Kaise kare

3G ka use jab kare jab iski jarurat ho jaise online video dekhne me ya koi badhi file ko download karne ke liye aur iske alava sadharan apps ko ya koi website use karne ke liye 3G ka use na aise kamo ko karne ke liye 2G Network ka use kare aur iske liye apne smartphone me 3G ki jagah 2G ko chune kyonki 3G me zyada Data istemal hota hai. Jo aap acchi tarah jaante hai.

2 . Notification

Aapke smartphone me kuch aise apps hote hote jo bar bar notification dete rehte hai to aap unhi app ko apne phone me rakhe jo aapke kaam ke hai aur faltu ke apps ko uninstall kare aur notification ko band karde. bar bar ki notification se bhi internet Data ki zyada khapat hoti hai.

3 . WhatsApp Auto Download



Aapne dekha hoga ki jab aap kisi bajah se whatsapp use nahi kar pate hai aur 1-2 din ke baad jab whatsapp ko kholte hai to usme kayi image aur video aayi huyi hoti jo khud hi Download hone lagti hai chahe unki apko jarurat ho ya na ho isse bhi aapka Data zyada kharch ho jata hai. to apne whatsapp account me auto download option ko humesha band rakhe taki jarurat padhne par hi aap video ya image ko download kar paye. Auto Download ko band karne ke liye
WhatsApp>>Setting>>Chat and Calls>>Media auto Download>>When using mobile data me no media kare aur usme se tik hata de.

4 . Play Online Game



Agar aap Game khelne ke shoukeen hai to aap game jarur khelte honge lekin dhyan rakhe ki Game offline hi khele Online Game khelne se bhi zyada Data kharch hota hai. Aur game khelte time Data off rakhe isse faltu ke ad nahi aayenge.

5 . Online Audio & Video

Online Audio video sunne se bhi zyada Data kharch hota hai. Mere khayal se Agar aap music online sunte hai to lagbhag jitni MB me aap 1 baar music sunege. Aur usi music ko agar aap download karke sunoge ko jitni baar chahe uss music ko sun sakte hai. video jarurat padhne par hi online dekhe nahi to usko bhi download karle to accha rahega.

In steps ko dhyan se padhne ke baad inko follow kare fir dekhe aapka Data kitna kharch hota hai aur kitni saving hoti hai.
I Hope ki apko ye article jarur pasand aaya hoga. agar apko pasand aaya ho to apne Dosto ko zyada se zyada Share kare. Aur apne shubh vichar comment me jarur de.

Read Must: ........................................................................................................................

Post A Comment
  • Blogger Comment using Blogger
  • Facebook Comment using Facebook
  • Disqus Comment using Disqus

2 comments :

  1. Bhai Paystore me automatic app update kese ban kare ise bhohat data karch hota he

    ReplyDelete
    Replies
    1. @ G pawar
      Google play store me jaye
      Menu button par click karke Setting me jaye aur uske baad
      Auto update app ki jagah Do not auto update app select kare

      Delete

Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.