Auto Update (Stop) Disable Kaise Kare Android, Windows, iOS Aur Blackberry Smartphone Me
Hello Dosto,
Aaj mai phir hazir hoo ek nayi Post lekar.
Aaj har user ke pass smartphone hai chahe wo Android, Window
Phone, iPhone user ya koi sa bhi ho lekin smartphone jarur hoga.
Smartphone user Apps to jarur use karta hai, ye to aap bhi
jante honge, aur aap bhi Apps use karte honge. To aaj hum baat kar rahe hai ki
Smartphone me Auto Update kaise off kare.
Ye problem kai logo aati hai, ki unke smartphone me Apps
khud hi Auto Update Hote rehte hain.
Isko off karne ke liye ye post aap logo ke beech lekar aaya
hoo taki aage aapko aisi koi problem na ho.
Iss problem ke bare me mere ek Reader G Pawar ji ne mujhse Comment ke through
meri
Faltu Internet Data Kharch Hone se kaise bachaye Post me poocha tha ke hum auto update ko kaise band
kar sakte hai. to ye post mai apne Reader G Pawar ji aur aap sab ke liye vistar se post kar raha
hoo. Aur aage bhi aisi kayi new jankari aur help karta rahoonga. To chaliye
jaante hai ki hum kaise apne smartphone me Auto Update ko off (Disable) kaise kar sakte hai.
Must Read: OTG Cable kya hai, USB OTG Cable se kya-kya Use kar sakte hai
Must Read: OTG Cable kya hai, USB OTG Cable se kya-kya Use kar sakte hai
Smartphone me Auto Update Disable Kaise Kare
How to Disable Auto Update in hindi
How to Disable Auto Update in hindi
1 .Android Smartphone me Auto Update Kaise Disable Kare.
Android smartphone me Auto Update apps ko off karne ke liye
ye step follw kare.
1.
Play Store Open kare.
2.
Playe Store me jane ke baad Right side me(Hamburger
icon) teen bindi wale icon par click kare.
3.
Setting me jaye.
4.
Auto Update Apps par click kare.
5.
Do not Auto Update ko select kare.
6.
Agar aapko wi-fi ke dwara apps ko update karna
ho to
Auto-Update
apps over Wi-Fi only ko select kare.
2. Apple iPhone iOS me Auto Upadte kaise Disable kare.
Apple Iphone me Auto update ko off karne ke liye.
Menu>>Setting>> iTune & App Store>>
Update>>Disable Auto update.
(Do not Auto Update).
(Do not Auto Update).
1.
Sabse pehle Menu me jaye.
2.
Setting ko open kare.
3.
iTune & App Store ko open kare.
4.
Update ko Disable karde.
3 . Window Phone me Auto Update Kaise Disable (Off) Kare.
Window Phone me auto update ko disable karne ke liye sabse
ye step dhayan se follow kare.
1.
Menu me jaye.
2.
Store Open kare.
3.
Setting Par click kare.
4.
App Update par tab kare.
5.
Automatically Update My App par YES ki jagah NO Select kare.
2 4 . Blackberry Me Auto Update kaise Stop kare.
Blackberry Smartphone me Auto Update Stop karne ke liye step by step follow kare jaise upar Aapne dekhe honge.
1. Menu me jaye.
2. Setting Open kare.
3. Software Update
4. Software Update par jane ke baad Option par click kare.
5. Software Update me jane ke baad slide karne par.
6. Enable Auto Update aur
Disable Auto Update dikhega yaha se aap Enable kar sakte hai
Agar aapne abhi bhi apne Smartphone me Auto Update App ko Disable nahi kiya hai to karle nahi aapko aage Problem aa sakti hai to mai aapko Suggetion dena chahunga ki aap isko follow kare problem aane se pehle isko solve karle taki future me aapko koi problem na ho.
Mai ummeed karta hoo ki apko iss post se kafi help mili hogi.
Aur agar Aapko iss post se thodi bhi help mili hai to apne Dosto ke saath bhi Share jarur kare aur unko bhi iska laabhu uthane ka mauka de.
Aur humare Latest Article pane ke liye humare Social Follow Button Par Follow jarur kare.
Post A Comment
No comments :
Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.