[TrueCaller] se Apne Number ko Remove Kaise kare, Taki koi Bhi Anjan Apka Pata Na Laga Sake

Hey Frinds, Aaj mai ye Truecaller se Apne Mobile Number Ko Remove kaise kare Post Un logo ke liye lekar Aaya hoo jo log
Truecaller se Pareshan Hain Aur Apne Number ko Remove karna Chahate hain.

Truecaller ek aisa App hai isko har samrtphone user use kar raha hai. aur ye bahut popular bhi hai.
Ye App apko har samrtphone user ke pass milega.
Aur iss app ka main kam sirf yahi hai Contact detail dena. Aur ye un contact ki detail deta rahta hai. jo apke Contact list me nahi bhi hote hai.
Agar aapne abhi tak Truecaller ko use nahi kiya hai. tab bhi apka Number Truecaller me aa sakta hai kyoki iska main karan ye hoga. Kisi doosre Vyakti ne Aapka Naam aur Number apne Contact me save kiya hoga aur wo vyakti Truecaller use karta hoga. To bhi apke Number ki detail Truecaller ke pass hogi. Aur jab bhi aap kisi truecaller user ke pass Call karte honge to apki Detail use milti hogi.
Lekin kya apko pata ki koi bhi Anjan vyakti apki detail nikal sakta hai.agar aap chahate hai ke koi bhi apki detail na le sake to apko apne number ko Truecaller se Remove (hata) sakte ho.

Rea Must:  Android Smartphone me Screenshot kaise le
                            Mx Player me ac3 audio not supported Problem ko door kaise kare



truecaller-se-apne-number-ko-remove-kaise-kare ansariworld.com

Aise [Remove] kare Trucaller ke Data Base se Apna Number



NOTE : Jab tak aap iss App ka istemal karenge tab tak aap apna number Remove nahi kar sakte. Aur agar apko iske Data Base apna Number Remove karna hai to apko apne Smartphone se Truecaller ko Deactivate (Uninstall ) karna hoga.Aur aap sonche ki apna Number Remove karke Doosre ke Number ki Detail Dekhe to aisa bhi nahi ho sakta. Agar Aap Remove karenge to aap kisi doosre ki bhi detail nahi pa sakte.


Android Smartphone User

Android user ko sabse pehle Truecaller ko open kare aur uske baad Top par People Icon par click kare. Ab setting aur uske baad Account ko Deactivet karde.
Truecaller>People>Setting>About>Account Deactivate.

Iphone User

Trucaller App ko Open kare Top par Gear icon par click kare. About Truecaller par jaye aur uske baad list ko upar ya niche karke Account Deactivate ko dekh kar Account ko Deactivate karde.

Truecaller Account ko Deactivate karne ke baad apna Number Delete aise kare
                                                                                                     

1 . Trucaller ke Unlist Page par jaye.
2 . Apne Country Code ke sath Apna Number Enter kare Jaise: - +91-0000000000
3. Unlist Page karne ke liye kisi Reason (Karan) ko chune ya tik kare ya aap Other par jakar koi bhi Reason bata kar apna Number Delete kar sakte hai.
4 . Ab Capcha Code dale.
Unlist Request milne ke 24 Hour baad Number ko hata diya jayega.
Lekin aisa bhi nahi hai Apka Number hamesha ke liye Truecaller ki Service Remove kar diya jayega.
Iska pata karne ke liye ki apka number poore tarike Remove (hata) hua ki nahi Aap ki doosre Truecaller user ki madad se apna Number check kar sakte hain. Aur beech beech me isko check karate rahe.
Agar Check karne ke baad apki Contact Deatail nahi dikh rahi hai to samajh lijiye apka number poori tarah se Remove ho chukka hai. aur agar nahi hua hai to ap fir Remove kar sakte hai.

Also Read...........................................................................................



Post A Comment
  • Blogger Comment using Blogger
  • Facebook Comment using Facebook
  • Disqus Comment using Disqus

No comments :

Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.