Twitter Par Ab 10,000 Character se Tweet

Twitter on Pc tweet 10000 character word www.ansariworld.com

Twitter users ke liye ek bahut
badiya khushkhabri hai ki 
Twitter ki iss Social networking site par ab aap jyada word’s se Tweet kar sakenge .
Twitter ab 140 Character ki limit ko badakar 10,000 character karne ki tayari kar raha hai.
Khabar hai ki Twitter 140 


character ki limit ko badakar  10,000  characters  karne   ki   tayari   kar   raha   Hai .
Ek website ke mutavik character ki limit hone par bhi users space aur punctuation mark ke sath 10,000 se jyada world type kar payenge.

Lekin abhi ye nahi bataya gaya hai ki 10,000 word me Tweet wala yeh Feature kis din Launch kiya jayega .
Mana ja raha hai ki Twitter iss service ko iss saal ki pahli timahi ke akhir me Launch kar sakta hai.
Aur yeh bhi sambhav hai ki final Product ko launch karne se pahle Character limit 10,000 ke alava kuch aur ho.
Twitter ke  CEO Jack Dorse ne bataya ki Company ne dekha hai ki 140 Character ki limit ki bajah se log text ke screen shot kar rahe hain.

Aur unhone kaha ki logo aur Suvidha ho iske liye hume Twitter ko aur behtar banae se hum piche nahi hatenge.
Hum dekhna chahenge ki log kya chahate hain.
Khabar hai ki Twitter chahata hai ki uski Time line abhi jaisi hai baisi hi rahe.

Tweet 10000 charcter word for twitter www.ansariworld.com

 Isliye aisa kiya ja sakta hai ki user ko Tweet me shuru me 140 character hi dikhe aur agar wo aur padhna chahate hain to Click karke use expand kar sakein. 

Jack Dorse ke company me loutne ke baad Twitter apni service ko pahle kafi behtar banane me laga hai .
Pichle dino Twitter ne moment feature shuru kiya tha . Poll feature jodne ke baad Left Button bhi Add kiya gaya tha. Star Favourite  icon ko hata kar dil ki shape wala like button bhi Add kiya hai.
Kuch users ne hashbyond 140 @Tag ke sath Tweet karke apni ray kahi  ki ye
140 character ki limit badhni chahiye ya nahi .
Iss Report par Twitter ne koi comment karne se mana kar diya .
  
Ye bhi Padhe 
 हमे Follow भी कर सकते हैं -

Facebook Page,   Twitter,    Google+      Linkedin
 
नई Post के लिए  Subscribe करें |
Post A Comment
  • Blogger Comment using Blogger
  • Facebook Comment using Facebook
  • Disqus Comment using Disqus

No comments :

Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.