Apple Ke Ane wale Iphone 7,Ipad Aur Tablets, In Gadgets Me Honge Naye Aur Sabse Alag Features

Apple ne  Apne aane wale naye Gadgets me kayee tarah ki nayi takneek ka upyog kar user ki life ko aur asan banane ja rahi.
Apple ab  naye aane wale Iphone 7, Ipad Aur Tablets me aisi adhbhut takneek aur oprating system ko use karke jisse user ki kayi saari mushkile hal ho sakti hain.

ipad www.ansariworld.com

In Gadegts me apple Latest Oprating System iOS 10 layega.
Ye Oprating System  iOS 10 itna Advance aur Features wala hai ki user jise bhi Phone (Call) Karna chahega aur phone user ka phone silent mode me hoga to uska pata bhi chal jayega. Aur sath hi phone ko koi bhi Hacker hack nahi kar sakta.

Kuch Mukhya Features
Li-Fi Technology
Apple ke naye Iphone 7 aur Ipad me Li-Fi Technology bhi di jayegi. Ye Internet ki aisi technology hai jo Wi-fi se kayi guna jyada tezz hai. Iss Technology se Data Transfer karne me Redio Trango ki bajaye Light ke ujale se istemal kiya ja sakta hai. Wi-Fi Technology se 1 Second me 7 GB Data Transfer kiya jata hai wahi Li-Fi ke dwara 224GB Data Transfer kiya ja sakta hai.
Li-Fi Technology ke Baare me Bistar se janne ke liye  Wi-Fi Se 100 Guna Fast Kaam Karta Hai Li-Fi  ye padhe.
Hack karna hoga Namumkin
 Apple ke latest Oprating System iOS 10 ki ek aur special khubi ye hogi ki Iss iOS  10 wale Devices ko Hack karna Namumkin hoga kyonki Company  isme “ROOT LESS” Nam ka New Security System Istemal kar rahi hai.

Office se Home Contril Kar Sakenge
 Apple iOS 10 Intenet Off Things ki Nayi abdharna par kam karega. Aur itna hi nahi ye aur doosri Devices se Connect kar uska Data Use kar sakega. Isaka matlab aap apne Office me baithe baithe ghar me use hone wale electronic samano ko office me se Control kar sakenge.
Awaz ko Convert kar dega Voice Message Me
 Apple ke iss naye iOS 10 ki khsiyat ye bhi hogi ki isme aisi Technolgy Use ki gayi hai ke user ke Busy hone ki halat me Phone Call karne wale ki awaz ka voice  message me  badal dega. Aur busy person  iss awaz ko baad me bhi sun  sakta hai .

Iphone 7 www.ansariworld.com

Iphone 7 Launch
Expertreview ke mutabik Iphone 7  ko Lagbhag September 2016 me Launch kiya jayega 

Post A Comment
  • Blogger Comment using Blogger
  • Facebook Comment using Facebook
  • Disqus Comment using Disqus

2 comments :

  1. Nice information .thank you so much.Apple IPhone 7

    ReplyDelete
  2. tahnks for visit www.ansariworld.com
    have a nice a day

    ReplyDelete

Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.