Google Chrome Par Internet Speed Badhane ke 5 Tips



Har aadmi chahata hai ki uski internet speed kaise na kaise badh jaye zyada na sahi thodi hi sahi.
Chahe wo Smartphone, Tablet ya fir PC user hi kyo na ho.
Iss Post me hum aapko internet speed badhane ke ye 5 tips lekar aaye hai  jinko follow kar ke aap apne google chrome browser par internet speed ko badha sakte hai.
To dekhte hai ki hum kaise Google chrome browser me internet speed badha sakte hai.
google chrome speed increse 5 tips ansariworld.com

5 Tips Google Chrome Par Internet Speed Increase (Badhane) ke
1. Clear Browsing Data
 Browser ke History Data ko jaldi jaldi Clear karte rahe zyada Browsing Data ikattha na hone de.
Agar aapke Browser me zyada history ikattha ho jati hai to apke browser ki speed kam ho jati hai.
Isko clear karne ke liye niche step to step dekhe.
Google Chrome  Browser>> Setting>> Clear Browsing Data. 
2. Disable Plugins
Baise to Google Chrome me Plugins bahut hi useful helpful hoi hai lekin ye aapke Chrome Browser ko slow kar deti hai. isliye faltu ke plugins ko Remove karde aur  jo zyada kaam aane wale Plugins hi use kare. Plugins ko Remove kaise kare yaha niche Dekhe.
Google Chrome >> Setting >> Extension >> Disable
3. Use Data Saver Extension
Ye Google Chrome ka bahut hi Useful Extension tool hai. ye apke fizool ke Data ko kharch hone se bachata hai aur apke Browser ki speed bhi badhata hai. to Aaj hi apne Google Chrome Browser me Data Saver Extension ko add kare.
4. DNS Preload in Google Chrome
   Google Chrome me ye option Cache ko save karta rahta hai to aapko isko turant apne browser me Cache ko save na hone de Disable karke rok dena chahiye. Disable karne ke liye sbase pehle 
Google Chrome >>Setting >>Advanced Setting >>Privacy
Yaha Aapko 2 Option milenge
"Use a web service to help resolve navogational errors"
"Use a prediction service to help complete searches and URL's typed in address bar"

Dono se tik hatakar Disable karde.

5. Disable Image Content
Agar aap apne internet ki speed ko aur zyada fast dekhna chahate hai to aap apne Browser ki image ko Diasble karke aisa kar sakte ho.
Aisa karne se aapko internet use karte time maza to nahi ayega lekin apki Speed kafi fast ho jayegi aur Data ki bhi bachat hogi. Agar aap aisa karna chahate hai to niche dekhe step to step.


Post A Comment
  • Blogger Comment using Blogger
  • Facebook Comment using Facebook
  • Disqus Comment using Disqus

No comments :

Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.