Google Dene Wala hai 5G Internet Service, Drone ke Jariye



Google ab ek bahut badi tayari kar raha hai wo ab  5G Internet service shuru karne ja raha hai.

google 5 internet service powerd by drone ansariworld.com


Iss Secret Project ka codename SkyBender rakha gaya hai. 
Aur America ke New Maxico city me isko try kiya gaya hai.  
Bataya ja raha hai ki iski  Data Transfer speed aaj ke time ki speed se 40 guna jyada fast hogi.
Google ne iski testing 15000 Square feet jagah me ek hanger bana kar ek flight control centre ko setup karke ek power soller drone ke jariye iski testing ki hai.

Kitni hogi Speed ?
Techradar ke anusar : 4G/LTE , Smartphone aur doosre Devices speed  se iski Speed 40 guna Fast hogi .
Iski speed se ap lag-bhag   10 Second me HD ki Movie Download kar payenge.
Lekin Google ki taraf se abhi kuch khas ye pata nahi  chal paya hai ki iss service ko public me laya jayega ya nahi. Abhi ye ek project hi mana ja raha hai.


Company ka kahna hai ki poori duniya ko High-Speed Internet se joda ja sakta hai.
Post A Comment
  • Blogger Comment using Blogger
  • Facebook Comment using Facebook
  • Disqus Comment using Disqus

No comments :

Ansariworld se Related Aapke Pass Koi Jankari Hai to
Apne Article,Photo,Detail ke Sath moaziz90@yahoo.com Par Mail kare
Hum Apni site Par Apka Article with Photo Publish Karenge.